- Qisasul Ambiya
- Author: Imam Ibn Kathir
- Language: Roman Urdu
- Binding: Hard Cover
Khaaliq-e-kaaenaat ne jab Bani Aadam ko roo-e zameen par basaaya to waqt guzarne ke saath-saath bani naw-e-insaan mein khaalis Tauheed ki jagah shirk, but-parasti aur digar akhlaaqi kharaabiyaan dar aayin. Insaaniyat ko us ki asli raah par laane ke liye Allah Ta’aala ne aasmaani hidayat irsaal karne ka silsila shuru kiya aur paida-paish ambiyaa wa rusul mab’oos farmaaye. Ye nufoos-e-qudsiya tamaam zaahiri aur baatini khoobiyaan ke paikar the, ek taraf ye giroh-e-ambiyaa agar husn-o-jamaal mein yaktaae rozgaar tha to doosri taraf husn-e-akhlaaq, be-misaal seerat-o-kirdaar aur aa’la darja ki shujaa’at, himmat aur isteqaamat se bhi aaraasta tha.
Unhon ne rushd-o-hidaayat ki raahen raushan kiin, Tauheed-e-Ilaahi ka parchaar kiya aur bhatke hue insaanon ko raah-e-raast par laane ke liye koi daqeeqa faroguzaasht na kiya. Is muqaddas farz ki adaaigi ki raah mein unhen beshumaar masaib-o-mushkilaat ka saamna karna pada. Un par tarah-tarah ke mazaalim dhaae gaye. Kisi nabi ko jalti hui aag mein phenka gaya, kisi ka sar qalam kiya gaya aur kisi ko aare se cheer diya gaya. Lekin Ambiya ﷺ ko apni da’wat ki sadaaqat ka is qadar yaqeen aur apne Rab par is qadar pukhta bharosa tha ke wo muskuraate hue in tamaam masaib ko bardaasht kar gaye, magar unke paaon sabaat mein adna si laghzish bhi nahin aayi.
Qisasul Ambiya inhi misaali insaanon ka zikr-e-jameel aur unki paakeeza seeraton ka guldasta hai, jise humne apne riwaayati andaaz mein husn-e-tabaa’at aur husn-e-ma’aani ki khoobiyon se aaraasta karke tishnigaan-e-ilm ki sairaabi ke liye pesh kiya hai. Aap is kitaab ko padhte hue bahut si jadeed ma’loomaat apne qalb-o-zehan mein mahfooz kar lenge.
Reviews
There are no reviews yet.